Apne Khilaf Papon Lyrics

Apne Khilaf Papon Lyrics

Song: Apne Khilaaf
Singer: Papon
Lyrics: Irshad Kamil
Music: Papon
Label: Jun 2, 2026

Apne Khilaf Papon Lyrics

Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana
Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana
Main pul bana raha hoon, main pul bana raha hoon
Tu deewaar mat bana
Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana

Marham ki chaadarein na chadha dil ki chot par
Marham ki chaadarein na chadha dil ki chot par
Ye zakhm zakhm rehne de, ye zakhm zakhm rehne de
Tu mazaar mat bana
Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana

Tu hai haseen, mubarak husn tujhe
Maana tu hai haseen, mubarak husn tujhe
Is khoobsurti ko tu hathiyaar mat bana
Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana

Kaamil nahin, kamaal nahin log shehar ke
Kaamil nahin, kamaal nahin log shehar ke
Har raah chalte aadmi ko yaar mat bana
Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana

Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana
Main pul bana raha hoon, main pul bana raha hoon
Tu deewaar mat bana
Apne khilaaf apna hi kirdaar mat bana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *