
Song: Tujhko
Movie: Cocktail 2
Singer: Arijit Singh, Sunidhi Chauhan
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
Music: Pritam Chakraborty
Featuring: Shahid Kapoor, Rashmika Mandanna
Label: Universal Music India
Release date: May 24, 2026
Tujhko Cocktail 2 Lyrics
Jeene ki hai tu hi wajah, jeena tere liye
Main kya kahoon ke yaar, tu hai kya mere liye
Zamaane mein kahin meri tarah kabhi
Chaahega na koi tujhko
Jaise maine diya, waise poori tarah
Dil dega na koi tujhko
Tujhko, jab se mila tujhko
Tujhko, maana jahaan tujhko
Subah ki saari furtiyaan, bekhudi har shaam ki
Na ho tere saath mein, toh mere kis kaam ki?
Uthe jo mera har qadam tere sang shuruwaat mein
Haath daale haath mein, fikr kya anjaam ki?
Mujh mein zyada ab tu hi hai, jitna main hoon woh kyun hi hai?
Kuch aisa kar, main dhoondhun bhi toh paaun na khud ko
Tu hi to aasmaan, tu hi meri zameen
Maana hai zindagi tujhko
Bin maange har dua (Bin maange har dua) poori hui meri
Paaya jo, humnasheen, tujhko
Tujhko, jab se mila tujhko
Tujhko
Galtiyaan bhi teri main gawaara karoon
Yeh khata hi sahi, par dobaara karoon
Kya karoon? Sarphira ishq hi hai mera
Izhaar ka yahi tareeka hai mera
Aankhon ki hai tu roshni, tu hi toh khwaab hai
Main hoon agar sawaal, toh tu hi jawaab hai
Zamaane mein kahin mеri tarah kabhi
Chaahega na koi tujhko
Jaise maine diya, waisе poori tarah
Dil dega na koi tujhko
Tujhko
Tujhko
Tujhko
Tujhko, maana jahaan tujhko